Showing posts with label Chalisa's. Show all posts
Showing posts with label Chalisa's. Show all posts

Sunday, 1 May 2011

171: Lord Vishnu Chalisa

Vishnu Chalisa

Jai jai jai shri jagat pati, jagadadhar anant
Vishveshvar akhilesh aj, Sarveshvar Bhagvant.

Jai jai Dhranidhar shruti sagar
jayati Gadadhar sadgun agar.

Shri Vasudev Devaki nandan
Vasudev, nasan-bhav-phandan.

Namo-namo sacharachar-svami
paranbrahma prabhu namo namo namami.

Namo-namo Tribhuvan pati Ish
Kamala pati keshav yogish.

Garudadhvaj aj, bhav bhai hari
Murlidhar Hari Madan murari.

Narayan shripati Purshottam
Padmanabhi narhari sarvottam.

Jai Madhav Mukuud,
vanmali khal dal mardan, daman-kuchali.

Jai aganit indniya sarangdhar
vishva rup Vaman anand kar.

Jai jai lokadhyaksh-dhananijai
sahastragya Jaganath jayati jai.

Jai Madhusudan anupam anan
jayati Vayu-vahan vajra kanan.

Jai Govind Janardan deva
shubh phal lahat gahat tav seva.

Shyam saroruh sam tan sohat
darsha karat, sur nar muni mohat.

Bhai vishal mukut shir sajat
ur vaijanti mal virajat.

Tirchhi Bhrikuti chap janu dhare
tin-tar nain kamal arunare.

Nasha chibuk kapol manohar
mridu muskan kunj adharan par.

Janu mani pankti dashan man bhavan
basan pit tan param suhavan.

Rup chaturbhuj bhushit bhushan
varad hast, mochan bhav dushan.

Kanjarun sam kartal sundar
sukh samuh gun madhur samundar.

Kar mahan lasit shankh ati pyara
subhag shabda jai dene hara.

Ravi sam chakra dvitiya kar dhare
khal dal danav sainya sanhare.

Tritiya hast mahan gada prakashan
sada tap-traya-pap vinashan.

Padma chaturth hath mahah dhare
chari padarath dene hare.

Vahan Garud manogativana
tihun tyagat, jan hit Bhagvana.

Pahunchi tahan pat rakhat svami
ko Hari sam bhaktan anugami.

Dhani-dhani mahima again ananta
dhanya bhaktavatsal Bhagvanta.

Jab-jab surahin asur dukhdinha
taba tab prakati, kasht Hari linha.

Sab sur-muni Brahmadi Maheshu
sahi na sakyo ati kathin kaleshu

Tab tahan dhari bahu rup nirantar
mardyo-dal danvahi bhayahkar.

Shaiyya shesh, Sindhu bich sajit
sang Lakshmi sada-virajit.

Puran shakti dhanya-dhan-khani
anand bhakti bharani sukh dani.

Jasu virad nigamagam gavat
sharad shesh par nahin pavat.

Rama Radhika Siya sukh dhama
sohi Vishnu Krishna aru Rama.

Aganit rup anup apara
nirgun sagun svarup tumhara.

Nahin kachhu bhed ved as bhashat
bhaktan se nahin antar rakhat.

Shri Prayag-Durvasa-dhama
Sundardas Tivari grama.

Jag hit lagi tumahin Jagdisha
nij-mati rachyo Vishnu-chalisa.

Jo chit dai nit padhat padhavat
puran bhakti shakti sarsavat.

Ati sukh vasat, ruj rin nasat
vaibhav vikashat, sumati prakashat.

Avat sukh, gavat shruti sharad
bhashat Vyas-bachan nishi Narad.

Milat subhag phal shok nasavat
ant sainaya jan Han pad pavat.

Doha

Prem sahit gahi dhyan mahan, hridai bich Jagdish,
Arpit Shaligram kahan, kari Tulasi nit shish.
Kshan bhangur tanu jani, kari ahankar parihar.
Sar rup Ishvar lakhai, taji asar sansar,
Satya shodh kari ur gahai, ek Brahma Onkar,
Atma bodh hovai tabai, milai mukti ke dvar.
Shanti aur sadbhav kahan, jab ur phulahin phul,
Chalisa phal lahahin jan, rahahi Ish anukul.
Ek path jan nit karai, Vishnu dev chalis,

Jai Sri Vishnu !

141: Sri Ram Chalisa

Doha

Ganapati charan saroj gahi
Charanodak dhari bhal,
Likhau vimal Ramavali, sumiri Anjanilal.
Ram charit varnan Karaun, Ramahin hridai manai,
Madan kadan ral rakhishir, man kahan tap mitai.

Chaupaii

Ram Ramapati Raghupati jai jai,
Maha-Lokpati Jagpati jai jai.

Rajit Janak dulari jai jai,
Mahinandan Prabhu-pyari jai jai.

Ratihun diva Ram dhun jahin,
Magan rahat man, tan dukh nahin.

Ram saneh jasu ur hoi,
Maha bhagyashali nar soi.

Rakshas dal sanhari jai jai,
Maha patit tanu tari jai jai.

Ram nam jo nishdin gavat,
Man vanchhit phal nishchai pavat.

Ramayudhsar jehin kar sajat,
Man manoj lakhi kotihun lajat.

Rakhahu laj hamari jai jai,
Mahima agam tumhari jai jai.

Rajiv nayan munin man mohai,
Mukut manohar shir par sohai.

Rajit mridul gat shuchi anan,
Makarakrit kundal duhun kanan.

Ramchandra sarvottam jai jai,
Maryada Purshottam jai jai.

Ram nam gun agam ananta,
Manan karat sharad shruti santa.

Rati divas dhyavahu man Rama,
Man ranjan bhanjan bhav dama.

Raj bhavan, sang men nahin jaihain,
Man ke hi man men nahin jaihain.

Ramhin nam ant sokh daihain,
Man gadhant gap kam na aihain.

Ram kahani Ramahin sunihain,
Mahima Ram tabai man gunhain.

Ramhi mahan jo nit chit rakhihain,
Madhukar saris madhur ras chakhihain.

Rag rang kahun kirtan thanihain,
Mamta tyagi ek ras janiha i n.

Ram kripa tinhin par hvai hain,
Man vanchhit phal abhimal paihain,

Rakshas daman kiyo jo chhan men,
Maha banhu bani vicharyo van men.

Ravanadi hati gati, dai dinhyo,
Mahi Ravanahin Siya vadh kinhyo,

Ram ban sut sursari dhara,
Maha patkihun gati dai dara.

Ram ramit jag amit ananta,
Mahima kahi na sakahin shruti santa.

Ram nam joi det bhulai,
Maha nisha soi let bulai

Ram bina ur hot andhera,
man sohi dukh sahat ghanera.

Ramahi adi anadi kahavat,
Mahavrti Shankar-gun gavat.

Ram nam lahi Brahma apara,
Mahikar bhar shesh shir dhara.

Rakhi Ram hiya Shambhu sujana,
Maha ghor vish kinhyo pana.

Ramahi mahi-lakhi lekh Maheshu,
Maha pujya kari diyo Ganeshu.

Ram ramit ras ghatit bhakti ghat,
Man ke bhajatahin khulat prem pat.

Rajit Ram jinahin ur antar,
Mahavir sam bhakta nirantar.

Ramahi linha ek sahara,
Maha sindhu Kapi kinha para.

Ram nam rasna ras shobha,
Mardan kam krodh mad lobha.

Ram charit bhaji bhayo sugyata,
Mahadeva mukti ke data.

Ramahi japat mitat bhav shula,
Ram mantra yah mangal mula.

Ram nam japi jo na sudhara,
Man pishach so nipat ganvara.

Ram ki mahima kahan lag gaun,
mati malin man par na paun.

Ramavali as likhi chalisa,
Mati anusar dhyan Gaurisa.

Ramahi sundar rachi ras paga,
Math Durvasa nikat Prayaga.

Ram bhakt yahin jo nit dhyavahin,
Man vanchhit phal nischai pavahin.

Doha

Ram nam nit bhajahu man, ratihun din chitlai.
Mamta matsar malinata, manastap miti jai.
Ram ka tithi budh Rohini, Ramavali kiyabhas,
Man sahastra bhuj drug samat, magsar Sundardas.

Monday, 25 April 2011

120: Sai Baba Chalisa


Pehle Sai ke charan main, apna sheesh namaaun main,
Kaise Shirdi Sai aaye, saara haal sunaun main.

Kaun hai mata, pita kaun hai, yeh na kisi ne bhi jaana,
Kaha janam Sai ne dhara, prashan paheli raha bana.

Koyee kahe Ayodhya ke, yeh Ramchandra bhagvan hain,
Koyee kehta SaiBaba, pavan putra Hanuman hain.

Koyee kehta mangal murti, Shri Gajanan hain Sai,
Koyee kehta Gokul-Mohan Devki Nandan hain Sai.

Shanker samaj bhakta kayee to, Baba ko bhajhte rahte,
Koyee kahe avatar datta ka, pooja Sai ki karte.

Kuchha bhi maano unko tum, pur Sai hain sachche bhagvan,
Bade dayalu deen-bandhu, kitno ko diya jivan-daan.

Kayee baras pehle ki ghatna, tumhe sunaunga main baat,
Kisee bhagyashaali ki , Shirdi main aayee thi baraat.

Aaya saath usi ke tha, baalak aik bahut sunder,
Aaya aaker vahin bus gaya, paavan Shirdi kiya nagar.

Kayee dino tak raha bhatakta, bhiksha maangi usne dar dar,
Aur dikhaee aisee leela, jag main jo ho gayee amar.

Jaise-jaise umar badi, badti hee vaisy, gaee shaan,
Ghar ghar hone laga nagar main, Sai Baba kaa gungaan.

Dig digant main laga goonjane, phir to Saiji ka naam,
Deen-dhukhi ki raksha karna, yahi raha Baba ka kaam.

Baba ke charno main ja kar, jo kehta main hoo nirdhan,
Daya usee par hoti unkee, khul jaate dhukh ke bandhan.

Kabhi kisee ne maangi bhiksha, do Baba mujhko suntaan,
Avum astoo tava kaihkar Sai dete the usko vardaan.

Swayam dhukhi Baba ho jaate, deen-dukhijan ka lakh haal,
Anteh: karan shree Sai ka, sagar jaisa raha vishal.

Bhakta ek madrasi aaya, ghar ka bahut bada dhanvaan,
Maal khajana behadh uskaa, keval nahi rahi suntaan.

Laga manane Sainath ko, Baba mujh per daya karo,
Junjha se junkrit naiya ko, tum hee mairee par karo.

Kuldeepak ke bina andhera, chchaya hua ghar mein mere,
Isee liye aaya hoon Baba, hokar sharnagat tere.

Kuldeepak ke re abhav main, vyartha hai daulat ki maya,
Aaj bhikhari ban kar Baba, sharan tumhari main aaya,

De do mujhko putra-daan, main runi rahoonga jivan bhar,
Aur kisi ki aas na mujko, siraf bharosa hai tum par.

Anunaye-vinaye bahut ki usne, charano main dhar ke sheesh,
Tub prasana hokar Baba ne, diya bhakta ko yeh aashish.

‘Allah bhala karega tera,’ putra janam ho tere ghar,
Kripa rahegi tum per uski, aur tere uss balak per.

Ab tak nahi kisi ne payaa, Sai ki kripa ka paar,
Putra ratna de madrasi ko, dhanya kiya uska sansaar.

Tan-man se jo bhaje usi ka jug main hota hai uddhar,
Sanch ko aanch nahi haiy Koyee, sada jooth ki hoti haar.

Main hoon sada sahare uske, sada rahoonga uska daas,
Sai jaisa prabhu mila hai, itni ki kum haiy kya aash.

Mera bhi din tha ek aisa, miltee nahi mujhe thi roti,
Tan par kapda duur raha tha, sheish rahi nanhi si langoti,

Sarita sammukh hone par bhi main pyasa ka pyasa tha,
Durdin mera mere ooper, davagani barsata tha.

Dharti ke atirikt jagat main, mera kuch avalumbh na tha,
Bana bhikhari main duniya main, dar dar thokar khata tha.

Aise main ik mitra mila jo, param bhakt Sai ka tha,
Janjalon se mukta, magar iss, jagti main veh bhi mujh sa tha.

Baba ke darshan ke khatir, mil dono ne kiya vichaar,
Sai jaise daya murti ke darshan ko ho gaiye taiyar.

Paavan Shirdi nagari main ja kar, dhekhi matvaali murti,
Dhanya janam ho gaya ki humne jab dhekhi Sai ki surti.

Jabse kiye hai darshan humne, dukh sara kaphur ho gaya,
Sankat saare mite aur vipdaon ka ant ho gaya.

Maan aur sammaan mila, bhiksha main humko Baba se,
Prati bambit ho uthe jagat main, hum Sai ki abha se.

Baba ne sammaan diya haiy, maan diya is jivan main,
Iska hee sambal le main, hasta jaunga jivan main.

Sai ki leela ka mere, man par aisa assar huaa,
Lagta, jagti ke kan-kan main, jaise ho veh bhara huaa.

‘Kashiram’ Baba ka bhakt, iss Shirdi main rehta tha,
Maiy Sai ka Sai mera, veh duniya se kehta tha.

Seekar svayam vastra bechta, gram nagar bazaro main,
Jhankrit uski hridh-tantri thi, Sai ki jhankaron se.

Stabdh nisha thi, thay soye, rajni aanchal me chand sitare,
Nahi soojhta raha hath ka, hath timiri ke maare.

Vastra bech kar lote raha tha, hai! Haath se ‘kaashi’,
Vichitra bada sanyoga ki uss din aata tha veh akaki.

Gher raah main khade ho gaye, usse kutil, anyaayi,
Maaro kaato looto iski, hee dhvani pari sunayee.

Loot peet kar usse vahan se, kutil gaye champat ho,
Aaghaton se marmahat ho, usne di thi sangya kho.

Bahut der tak pada raha vaha, vahin usi halat main,
Jaane kab kuch hosh ho utha, usko kisi palak main.

Anjane hee uske muh se, nikal para tha Sai,
Jiski prati dhvani Shirdi main, Baba ko padi sunai.

Shubdh utha ho manas unka, Baba gaye vikal ho,
Lagta jaise ghatna sari, ghati unhi ke sanmukh ho.

Unmadi se idhar udhar tab, Baba lage bhatakne,
Sanmukh chizein jo bhi aiee, unkoo lage patkne.

Aur dhadhakte angaro main, Baba ne kar dala,
Huye sashankit sabhi vahan, lakh tandav nritya nirala.

Samajh gaye sab log ki koi, bhakt para sankat ain,
Shubit khade thai sabhi vahan par, pade huae vismaiye main.

Usse bachane ke hi khatir, Baba aaj vikal hai,
Uski hi piraa se pirit, unka ant sthal hai.

Itne me hi vidhi ne apni, vichitrata dhikhlayi,
Lakh kar jisko janta ki, shradha sarita lehrayee.

Lekar sanghya heen bhakt ko, gaadi ek vahan aayee,
Sanmukh apne dekh bhakt ko, Sai ki aankhe bhar aayee.

Shant, dheer, gambhir sindhu sa, Baba ka anthsthal,
Aaj na jane kyon reh-rehkar, ho jaata tha chanchal.

Aaj daya ki murti svayum tha bana hua upchaari,
Aur bhakt ke liye aaj tha, dev bana prati haari.

Aaj bhakti ki visham pariksha main, safal hua tha Kaashi,
Uske hee darshan ki khatir, thai umre nagar-nivasi.

Jab bhi aur jahan bhi koyee, bhakta pade sankat main,
Uski raksha karne Baba jate hai palbhar main.

Yuga yuga ka hai satya yeh, nahi koi nayee kahani,
Aapat grasta bhakt jab hota, jate khudh antar yami.

Bhedh bhaav se pare pujari manavta ke the Sai,
Jitne pyare Hindu-Muslim uutne hi Sikh isai.

Bhed bhaav mandir masjid ka tod phod Baba ne dala,
Ram rahim sabhi unke the, Krishan Karim Allah Tala.

Ghante ki pratidhvani se gunja, masjid ka kona kona,
Mile paraspar Hindu Muslim, pyar bada din din doona.

Chamatkar tha kitna sundar, parichaye iss kaya ne dee,
Aur neem karvahat main bhi mithaas Baba ne bhar dee.

Sabko sneha diya Sai ne, sabko suntul pyar kiya,
Jo kuch jisne bhi chaha, Baba ne usko vahi diya.

Aise sneha sheel bhajan ka, naam sada jo japa kare,
Parvat jaisa dhukh na kyoon ho, palbhar main veh door tare.

Sai jaisa daata humne, aare nahi dekha koi,
Jiske keval darshan se hee, saari vipda door gayee.

Tan main Sai, man main Sai, Sai Sai bhajha karo,
Apne tan ki sudh budh khokur, sudh uski tum kiya karo.

Jab tu apni sudh tajkur, Baba ki sudh kiya karega,
Aur raat din Baba, Baba, hi tu rata karega.

To Baba ko aare! vivash ho, sudhi teri leni hee hogi,
Teri har icha Baba ko, puree hee karni hogi.

Jungal jungal bhatak na pagal, aur dhundne Baba ko,
Ek jagah keval Shirdi main, tu paiga Baba ko.

Dhanya jagat main prani hai veh, jisne Baba ko paya,
Dukh main sukh main prahar aath ho, Sai ka hee gune gaya.

Giren sankat ke parvat, chahe bijli hi toot pare,
Sai ka le naam sada tum, sanmukh sub ke raho ade.

Iss budhe ki sunn karamat, tum ho javo ge hairaan,
Dung raha sunkar jisko, jane kitne chatur sujaan.

Ek baar Shirdi main sadhu dhongi tha koi aaya,
Bholi bhali nagar nivasi janta ko tha bharmaya.

Jari, butiyan unhe dhikha kar, karne laga vaha bhashan,
Kehne laga sunno shrotagan, ghar mera hai vrindavan.

Aushadhi mere paas ek hai, aur ajab iss main shakti,
Iske sevan karne se hi, ho jaati dukh se mukti.

Aggar mukta hona chaho tum, sankat se bimari se,
To hai mera numra nivedan, har nar se har nari se.

Lo kharid tum isko, sevan vidhiyan hai nyari,
Yadyapi tuch vastu hai yeh, gun uske hai atisheh bhari.

Jo hai suntaan heen yahen yadi, meri aushdhi ko khayen,
Putra ratan ho parapat, aare aur veh mooh manga phal paye.

Aushadh meri jo na kharide, jeevan bhar pachtayega,
Mujh jaisa prani shayad hi, aare yaha aa payega.

Duniya do din ka mela hai, mauj shaunk tum bhi kar lo,
Gar is se milta hai, sub kuch, tum bhi isko le lo.

Hairani badti janta ki, lakh iski kaarastaani,
Pramudit veh bhi man hi man tha, lakh logo ki nadani.

Khabar suna ne Baba ko yeh, gaya daud kar sevak ek,
Sun kar bhukuti tani aur, vismaran ho gaya sabhi vivek.

Hukum diya sevak ko, satvar pakad dusht ko lavo,
Ya Shirdi ki seema se, kapti ko duur bhagavo.

Mere rehte bholi bhali, Shirdi ki janta ko,
Kaun neech aisa jo, sahas karta hai chalne ko.

Palbhar mai hi aise dhongi, kapti neech lootere ko,
Maha naash ke maha gart main, phahuncha doon jivan bhar ko.

Tanik mila aabhaas madari, krur kutil anyayi ko,
Kaal nachta hai ab sir par, gussa aaya Sai ko.

Pal bhar main sab khel bandh kar, bhaga sir par rakh kar pairr,
Socha tha man hi man, bhagvan nahi hai ab khair.

Such hai Sai jaisa daani, mil na sakega jag main,
Ansh iish ka Sai Baba, unhe na kuch bhi mushkil jag main.

Sneh, sheel, sojanya, aadi ka abhushan dharan kar,
Badta iss duniya main jo bhi, manav sevaye path par.

Vahi jeet leta hai jagti, ke jan jan ka anthsthal,
Uski ek udasi hi jag, jana ko kar deti hai vivhal.

Jab jab jag main bhar paap ka bar bar ho jaata hai,
Usse mita ne ke hi khatir, avtari ho aata hai.

Paap aur anyaya sabhi kuch, iss jagti ka har ke,
Duur bhaga deta duniya ke danav ko shan bhar main.

Sneh sudha ki dhar barasne, lagti hai duniya main,
Gale paraspar milne lagte, jan jan hai aapas main.

Aisse hee avtari Sai, mrityulok main aakar,
Samta ka yeh paath padhaya, sabko apna aap mitakar.

Naam dwarka masjid ka , rakha Shirdi main Sai ne,
Daap taap, suntaap mitaya, jo kuch aaya Sai ne.

Sada yaad main mast ram ki, baithe rehte the Sai,
Peher aath hee raam naam ka, bhaite rehte the Sai.

Sookhee rookhee tazi baasi, chahe ya hovai pakvaan,
Sada pyar ke bhooke Sai ke, khatir the sabhi samaan.

Sneh aur shradha se apni, jan jo kuch de jaate the,
Bade chaav se uss bhojan ko, Baba paavan karte the.

Kabhi kabhi man behlane ko, Baba baag main jate the,
Pramudit man main nirukh prakrati, chatta ko veh hote the.

Rang-birange pushpa baag ke mand mand hil dul karke,
Bihau birane mana main bhi sneh salil bhar jate the.

Aise su-madhur bela main bhi, dukh aafat vipada kai maare,
Apne man ki vyatha sunane, jan rehte Baba ko ghere.

Sunkar jinki karun katha ko, nayan kamal bhar aate the,
De vibhuti har vyatha, shanti, unke uur main bhar dete the.

Jaane kya adhbut, shakti, uss vibhuti main hoti thi,
Jo dharan karke mastak par, dukh saara har leti thi.

Dhanya manuja veh sakshaat darshan, jo Baba Sai ke paye,
Dhanya kamal kar unke jinse, charan kamal veh parSai.

Kaash nirbhaiy tumko bhi, saakshat Sai mil jaata,
Barshon se ujra chaman apna, phir se aaj khil-jata.

Gar pakar main charan shri ke, nahi chorta umar bhar,
Mana leta main jaroor unko gar rooth te Sai mujh par!!

Friday, 22 April 2011

96: Hanuman Chalisa


DOHA

Shree Guru Charan Saroj Raj,   Nij Man Mukur Sudhari,
Varnau Raghuvar Vimal Jasu,  Jo Dayaku Phal Chari  !
Budhi heen Tanu Janike,  Sumirow, Pavan Kumar,
Bal Buddi Vidya Dehu Mohi, Harahu Kalesh Vikaar !

CHOWPAI

Jai Hanuman Gyan Guna Sagar,  Jai Kapisa Tihun Lok Ujaagara
Ramdoot Atulit Bal Dhamaa,  Anjani Putra Paavansut Naamaa !   (2)

Mahaveera Vikrama Bajrangi, Kumati Nivaar Sumati Ke Sangi
Kanchan Varan Viraaj Suvesa, Kanan Kundal Kunchit Kesaa !   (4)

Hatha Vajra Aur Dhuvaje Viraje, Kandhe Moonj Janehu Sajai
Sankara Suvan Kesri Nandan, Tej Pratap Maha Jag Vandan !    (6)

Vidyavan Guni Ati Chatura, Ram Kaj Karive Ko Aatura
Prabu Charitra Sunive Ko Rasiya, Ram Lakhan Sita Mana Basiya !   (8)

Sukshma Roop Dhari Siyahi Dikhava, Vikat Roop Dhari Lanka Jarava
Bhima Roop Dhari Asura sanghare, Ramachandra Ke Kaj Sanvare !   (10)

Laye Sanjivan Lakhan Jiyaye, Shri Raghuvir Harashi Ura laye
Raghupati Keenhi Bahut Badai, Tumana Priye Bharat-hi Sam Bhai !   (12)

Sahastra Vadana Tumharo Yash Gaave, Asa Kahi Shripati Kantha Lagaave
Sankadika Brahmadi Muneesa, Narad Sarada Sahita Aheesa !     (14)

Yama Kubera Digpal Jahan The, Kavi Kovida Kahi Sake Kahan The
Tum Upkaara Sugreevahin Keenha, Ram Milaye Rajpada Deenha !     (16)

Tumharo Mantra Vibheeshana Mana, Lankeshwara Bhaye Sub Jag Jana
Yug Sahastra Yojan Phala Bhanu, Leelyo Tahi Madhur Phal Janu !       (18)

Prabhu Mudrika Meli Mukh Mahee, Jaladhi Langhi Gaye Achraj Nahee
Durgaam Kaaj Jagat Ke Jete, Sugam Anugraha Tumhre Tete !   (20)

Ram Duware Tum Rakhvare, Hota na Agna Binu Paisare
Sub Sukh Lahai Tumhari Sarna, Tum Rakshak Kahu Ko Darna !   (22)

Aapan Tej Samharo Aapai, Teenhon Lok Hank Te Kanpai
Bhoot Pisach Nikat Nahin Aavai, Mahavir Jab Naam Sunavai !    (24)

Nasai Rog Harai Sab Peera,  Japat Nirantar Hanumant Veera
Sankat Se Hanuman Chudavai,  Man Krama Vachan Dyan Jo Lavai !   (26)

Sub Par Ram Tapasvee Raja, Tin Ke Kaj Sakal Tum Saja
Aur Manorath Jo Koi Lavai, Sohi Amit Jeevan Phal Pavai !     (28)

Charon Yug Partap Tumhara, Hai Persidh Jagat Ujiyara
Sadhu Sant Ke Tum Rakhware, Asur Nikandan Ram Dulhare !    (30)

Ashta Sidhi Nav Nidhi Ke Dhata, Asvara Deen Janki Mata
Ram Rasayan Tumhare Pasa, Sada Raho Raghupati Ke Dasa !    (32)

Tumhare Bhajan Ram Ko Pavai, Janma Janma Ke Dukh Bisravai
Anth Kaal Raghuvara Pur Jayee, Jahan Janma Hari-Bakht Kahayee !    (34)

Aur Devta Chit Na Dharehi, Hanumanth Se Hi Sarve Sukh Karehi
Sankat Kate Mite Sab peera, Jo Sumirai Hanumat Balveera !         (36)

Jai Jai Jai Hanuman Gosai, Kripa Karahu Gurudev Ki Nyahin
Jo Sat Var Path Kare Kohi, Chutehi Bandhi Maha Sukh Hohi !      (38)

Jo Yah Padhe Hanuman Chalisa, Hoye Siddhi Sakhi Gaureesa
Tulsi Dasa Sada Hari Chera, Ki Jaynatha Hrudhya Maha Dera !     (40)

Pavana Tanaya Sankatha Harana Mangala Murati Roopa, Rama Lakhana Sita Sahita Hrudhya Basahu Sura Bhup

Sunday, 10 April 2011

56: Shri Hanuman Chalisa


ll Doha ll

Shri Guru Charana Saroj Raja, Nija Mana Mukura Sudhaar l
Baranou Raghubara Bimala Jasu, Jo Daayaku Phala Chaar ll
Buddhi Heena Tanujaanike ,Sumeero Pawana Kumaar l
Bala Buddhi Vidhya Dehu Mohi, Harahu Kalesha Vikaar ll


ll Chaupai ll
Jai Hanuman Gyana Gunasagara, Jai Kapeesa Tihu Loka Ujaagara
Rama Doota Atulita Baladhaamaa, Anjanee Putra Pawanasuta Naama

Mahabir Bikram Bajarangee, Kumatee Nivaara Sumatee Ke Sangee
Kanchana Barana Biraaja Subesha ,Kanana Kundala Kunchita Kesha

Haatha Vajra Aur Dhwajaa Birajay, Kaandhe Moonj Janeun Saaje
Shankara Suvana Kesaree Nandana,Teja Pratapa Maha Jaga Vandana

Vidya Vaana Gunee Aati Chatur, Ramakaja Kareebe Ko Aatur
Prabhu Charitra Suneebe Ko Rasiya,Rama Lakhana Seeta Mana Basiya

Suukshmaroopadhari Siyahi Dikhava,Vikataroopadhari Lanka Jarawaa
Bhima Roopa Dharee Asura Sanhaare, Ramachandra Ke Kaaja Sanwaare

Laaye Sanjeevan Lakhana Jiyaye, Shri Raghubeera Harasheeura Laaye
Raghupatee Keenhi Bahuta Badaayii,Tum Mam Priya Bharata Sama Bhayee

Sahas Badan Tumharo Jas Gave, Asa Kahe Shreepathee Kantha Lagaave
Sanaka Dik Brahma Dee Muneesa, Narada Sharada Sahita Aheesa

Yama Kubera Digapaala Jahan The, Kavi Kovida Kahee Sakay Kahan The
Tum Upakaara Sugreevaheen Keenha, Rama Milaaya Rajapada Deenha

Tumharo Mantra Vibheeshana Maanaa,Lankeshwara Bhaye Saba Jaga Jaanaa
Juga Sahastra Yojana Par Bhanu ,Leelyo Taahi Madhura Phala Jaanu

Prabhu Mudrika Meli Mukha Mayee, Jaladhi Laanghee Gaye Acharaj Nahee
Durgama Kaaja Jagatke Jethe, Sugama Anugraha Tumhare Tete

Rama Duaare Tuma Rakhawaale, Hota Na Aagyan Bina Paysaare
Sab Sukh Lahai Tumhari Sarana, Tum Rakshak Kahoo Ko Darna

Aapan Tej Samhaarao Aape, Teeno Lok Haankate Kaapein
Bhoota Pishaacha Nikata Nahee Aawe, Mahabeera Jaba Naama Sunaavay

Naashai Roga Hare Sab Peera, Japata Nirantara Hanumatha Beera
Sankat Se Hanuman Chodave, Man Krama Bachana Dhyan Jo Laave

Sab Para Raama Tapasvi Raja, Tinake Kaaja Sakal Tum Saaja
Aur Manoratha Jo Koyee Laave, Soyee Amitha Jeevan Phala Paave

Charahu Yuga Parataapa Tumhara, Hai Parasiddha Jagata Ujiyaaraa
Sadhoo Sant Ke Tuma Rakhwaale, Asura Nikandana Raama Dulare

Ashta Siddhi Nava Nidhi Ke Daataa, Asabara Deena Jaankee Maataa
Rama Rasayan Tumhare Paasaa, Sadha Raho Raghupathee Ke Daasaa

Tumhare Bhajan Ram Ko Paave, Janma Janma Ke Dukha Bisaraave
Antha Kaal Raghupatee Pura Jaayee,Jahaa Janma Hari Bhakta Kahayee

Aur Devatha Chit Na Dharayee, Hanumatha Seyi Sarva Sukha Karayee
Sankata Kate Mite Sab Peera , Jo Sumeere Hanumatha Bala Beera

Jai Jai Jai Hanuman Gosai, Kripa Karahu Gurudeva Kee Naayee
Yah Shata Baar Paatha Kara Joyee, Chutahee Bandhee Maha Sukha Hoyi

Jo Yaha Pade Hanuman Chaleesa, Hoye Siddhi Saakhee Goureesa
Tulasidasa Sada Hari Chera, Keejay Naatha Hridaya Maha Dera
ll Doha ll

Pawana Tanaya Sankat Harana, Mangala Muuratee Rupa l
Rama Lakhana Seeta Sahita, Hridaya Basahu Sura Bhoop ll

Monday, 4 April 2011

20: Ganesha Chalisa


ll Dohaa ll
Jai Ganapati Sadguna Sadan, Kavivar Badan Kripaal l
Vighna Haran Mangal Karan, Jai Jai Girijaalaal ll


ll Chaupai ll
Jai Jai Jai Ganapati Ganaraaju,Mangal Bharana Karana shubha kaajuu
Jai Gajbadan Sadan Sukhdaata , Vishva Vinaayaka Buddhi Vidhaataa Vakra

Tunda Shuchi Shunda Suhaavana,Tilaka Tripunda bhaal Man Bhaavan
Raajata Mani Muktana ura maala, Swarna Mukuta Shira Nayana Vishaalaa

Pustak Paani Kuthaar Trishuulam , Modaka Bhoga Sugandhit Phuulam
Sundara Piitaambar Tana Saajit, Charana Paadukaa Muni Man Raajit

Dhani Shiva Suvan Shadaanana Bhraataa, Gaurii Lalan Vishva-Vikhyaata
Riddhi Siddhi Tav Chanvar Sudhaare, Mooshaka Vaahan Sohat Dvaare

Kahaun Janma Shubh Kathaa Tumhari,Ati Shuchi Paavan Mangalkaarii
Ek Samay Giriraaj Kumaarii, Putra Hetu Tapa Kiinhaa Bhaarii

Bhayo Yagya Jaba Poorana Anupaa,Taba Pahunchyo Tuma Dhari Dvija Rupaa
Atithi Jaani Kay Gaurii Sukhaarii, Bahu Vidhi Sevaa Karii Tumhaarii

Ati Prasanna Hvai Tum Vara Diinhaa, Maatu Putra Hit Jo Tap Kiinhaa
Milhii Putra Tuhi, Buddhi Vishaala , Binaa Garbha Dhaarana Yahi Kaalaa

Gananaayaka Guna Gyaan Nidhaanaa, Puujita Pratham Roop Bhagavaanaa
Asa Kehi Antardhyaana Roop Hvai, Palanaa Par Baalak Svaroop Hvai

BaniShishuRudanJabahiTum Thaanaa,Lakhi Mukh Sukh Nahin Gauri Samaanaa
Sakal Magan Sukha Mangal Gaavahin, Nabha Te Suran Suman Varshaavahin

Shambhu Umaa Bahudaan Lutaavahin,Sura Munijana Suta Dekhan Aavahin
Lakhi Ati Aanand Mangal Saajaa, Dekhan Bhii Aaye Shani Raajaa

Nija Avaguna Gani Shani Man Maahiin, Baalak Dekhan Chaahat Naahiin
Girijaa Kachhu Man Bheda Badhaayo, Utsava Mora Na Shani Tuhi Bhaayo

Kahana Lage Shani Man Sakuchaai, Kaa Karihau Shishu Mohi Dikhayii
Nahin Vishvaasa Umaa Ura Bhayauu, Shani Son Baalak Dekhan Kahyau

Padatahin Shani Drigakona Prakaashaa, Baalak Sira Udi Gayo Aakaashaa
Girajaa Girii Vikala Hvai Dharanii, So Dukha Dashaa Gayo Nahin Varanii

Haahaakaara Machyo Kailaashaa, Shani Kiinhon Lakhi Suta Ko Naashaa
Turat Garuda Chadhi Vishnu Sidhaaye, Kaati Chakra So GajaShira Laaye

Baalak Ke Dhada Uupar Dhaarayo, Praana Mantra Padhi Shankar Daarayo
Naama'Ganesha'ShambhuTabaKiinhe,Pratham Poojya Buddhi Nidhi Vara Diinhe

Buddhi Pariikshaa Jab Shiva Kiinhaa , Prithvii Kar Pradakshinaa Liinhaa
Chale Shadaanana Bharami Bhulaai, Rache Baithii Tum Buddhi Upaai

Charana Maatu-Pitu Ke Dhara Liinhen, Tinake Saat Pradakshina Kiinhen
Dhani Ganesha Kahi Shiva Hiye Harashyo,Nabha Te Suran Suman Bahu Barse

Tumharii Mahima Buddhi Badaai, Shesha Sahasa Mukha Sake Na Gaai
Main Mati Heen Maliina Dukhaarii, Karahun Kaun Vidhi Vinaya Tumhaarii

Bhajata 'Raamsundara' Prabhudaasaa, Jaga Prayaaga Kakraa Durvaasaa.
Ab Prabhu Dayaa Deena Par Keejai, Apnii Bhakti Shakti Kuchha Deejai
ll Dohaa ll
Shrii Ganesha Yeh Chaalisaa, Paatha Karre Dhara Dhyaan l
Nita Nav Mangala Graha Base, Lahe Jagat Sanmaana ll
Sambandh Apna Sahasra Dash, Rishi panchamii dinesha l
Poorana Chaalisaa Bhayo, Mangala Moorti Ganesha ll

Friday, 1 April 2011

2: Hanuman Chalisa


DOHA
Shree Guru Charan Saroj Raj,   Nij Man Mukur Sudhari,
Varnau Raghuvar Vimal Jasu,  Jo Dayaku Phal Chari  !
Budhi heen Tanu Janike,  Sumirow, Pavan Kumar,
Bal Buddi Vidya Dehu Mohi, Harahu Kalesh Vikaar !
CHOWPAI
Jai Hanuman Gyan Guna Sagar,  Jai Kapisa Tihun Lok Ujaagara
Ramdoot Atulit Bal Dhamaa,  Anjani Putra Paavansut Naamaa !   (2)
Mahaveera Vikrama Bajrangi, Kumati Nivaar Sumati Ke Sangi
Kanchan Varan Viraaj Suvesa, Kanan Kundal Kunchit Kesaa !   (4)
Hatha Vajra Aur Dhuvaje Viraje, Kandhe Moonj Janehu Sajai
Sankara Suvan Kesri Nandan, Tej Pratap Maha Jag Vandan !    (6)
Vidyavan Guni Ati Chatura, Ram Kaj Karive Ko Aatura
Prabu Charitra Sunive Ko Rasiya, Ram Lakhan Sita Mana Basiya !   (8)
Sukshma Roop Dhari Siyahi Dikhava, Vikat Roop Dhari Lanka Jarava
Bhima Roop Dhari Asura sanghare, Ramachandra Ke Kaj Sanvare !   (10)
Laye Sanjivan Lakhan Jiyaye, Shri Raghuvir Harashi Ura laye
Raghupati Keenhi Bahut Badai, Tumana Priye Bharat-hi Sam Bhai !   (12)
Sahastra Vadana Tumharo Yash Gaave, Asa Kahi Shripati Kantha Lagaave
Sankadika Brahmadi Muneesa, Narad Sarada Sahita Aheesa !     (14)
Yama Kubera Digpal Jahan The, Kavi Kovida Kahi Sake Kahan The
Tum Upkaara Sugreevahin Keenha, Ram Milaye Rajpada Deenha !     (16)
Tumharo Mantra Vibheeshana Mana, Lankeshwara Bhaye Sub Jag Jana
Yug Sahastra Yojan Phala Bhanu, Leelyo Tahi Madhur Phal Janu !       (18)
Prabhu Mudrika Meli Mukh Mahee, Jaladhi Langhi Gaye Achraj Nahee
Durgaam Kaaj Jagat Ke Jete, Sugam Anugraha Tumhre Tete !   (20)
Ram Duware Tum Rakhvare, Hota na Agna Binu Paisare
Sub Sukh Lahai Tumhari Sarna, Tum Rakshak Kahu Ko Darna !   (22)
Aapan Tej Samharo Aapai, Teenhon Lok Hank Te Kanpai
Bhoot Pisach Nikat Nahin Aavai, Mahavir Jab Naam Sunavai !    (24)
Nasai Rog Harai Sab Peera,  Japat Nirantar Hanumant Veera
Sankat Se Hanuman Chudavai,  Man Krama Vachan Dyan Jo Lavai !   (26)
Sub Par Ram Tapasvee Raja, Tin Ke Kaj Sakal Tum Saja
Aur Manorath Jo Koi Lavai, Sohi Amit Jeevan Phal Pavai !     (28)
Charon Yug Partap Tumhara, Hai Persidh Jagat Ujiyara
Sadhu Sant Ke Tum Rakhware, Asur Nikandan Ram Dulhare !    (30)
Ashta Sidhi Nav Nidhi Ke Dhata, Asvara Deen Janki Mata
Ram Rasayan Tumhare Pasa, Sada Raho Raghupati Ke Dasa !    (32)
Tumhare Bhajan Ram Ko Pavai, Janma Janma Ke Dukh Bisravai
Anth Kaal Raghuvara Pur Jayee, Jahan Janma Hari-Bakht Kahayee !    (34)
Aur Devta Chit Na Dharehi, Hanumanth Se Hi Sarve Sukh Karehi
Sankat Kate Mite Sab peera, Jo Sumirai Hanumat Balveera !         (36)
Jai Jai Jai Hanuman Gosai, Kripa Karahu Gurudev Ki Nyahin
Jo Sat Var Path Kare Kohi, Chutehi Bandhi Maha Sukh Hohi !      (38)
Jo Yah Padhe Hanuman Chalisa, Hoye Siddhi Sakhi Gaureesa
Tulsi Dasa Sada Hari Chera, Ki Jaynatha Hrudhya Maha Dera !     (40)
Pavana Tanaya Sankatha Harana Mangala Murati Roopa, Rama Lakhana Sita Sahita Hrudhya Basahu Sura Bhup